Ashtayam Seva – Method and Rules (With Audio)

by Shri Hit Premanand Ji Maharaj
Ashtayam Seva – Method and Rules

6. Ashtayama Seva – Sandhya (Evening Rituals)

6.1 Sandhya Bhog (Evening Food Offering)

Ashtayam Seva - Shayan (Rest at the end of the day)

It is evening, and the time has come to offer bhog to Shyama-Shyam. Whatever offering you have prepared, present it to your Thakur Ji while singing the verse given below. Once Shyama-Shyam have received the bhog, wash and wipe their hands and mouth. If you have been reading or singing the verses from the beginning up to this point, you must have understood that after each bhog, the sakhis also offer a betel leaf (paan ka beeda) to Shyama-Shyam. If this is possible for you, you should do the same.

Aay viraje mahal mein, sandhya samayau jaan.
Aali lyaayin bhog sab, mewa aru pakwaan.

Sandhya bhog ali lai aayeen.
Peda-khurma aur jalebi, ladua-khajla aur imarti, modak magad malai.
Kanchan-thaar dhare bhari aagein, pista aru badaam ralai.
Khaat-khawavat let paraspar, hansani dasan-chamkani adhikai.

Adbhut meethe madhur phal, layein sakhi banay.
Khawavat pyarelal kaun, pahilein priyahin pavay.

Pani parsi mukh det beeri piy, tab pyaari nainan mein musikaai.
Lalitadik Jaishri Kamalnayan hit, dhani din maant aapanon maai.

After offering the evening bhog, now perform the Sandhya Aarti of Shyama-Shyam:

6.2 Sandhya Aarti (Evening Aarti)

Paag bani patuka banyau, banyau laal kau vesh.
Shri Radhavallabhalal ki, dauri aarti dekh.

Aarti keeje Shyamsundar ki,
Nand ke nandana Radhikavar ki.
Bhakti kari deep prem kari baati,
Sadhusangati kari anudin raatī.
Aarti brajyuvati juth man bhaavai,
Shyamlila Shriharivansh hit gaavai.
Aarti Radhavallabhalal ki keeje,
Nirakhi nayan chhabi laaho leejai.
Sakhi chahooor chhavar kar liyaai,
Anuraagn saun bheene heeyai.
Sanmukh been mridang bajavai,
Sahchari naana raag sunavai.
Aarti Radhavallabhalal ki keeje,
Nirakhi nayan chhabi laaho leejai.
Kanchan-thar jatit mani sohai,
Madhya vartika tribhuwan mohai.
Ghanta-naad kahyo nahin jaai,
Anand mangal ki nidhi maai.
Jayati jayati yah jori sukhraasi,
Jayashriruplaal hit charan nivaasi.
Aarti Radhavallabhalalju ki keeje,
Nirakhi nayan chhabi laaho leejai.

6.3 Isht Stuti

Ashtayam Seva - Isht Stuti

After the Sandhya Aarti, sing this Ishta Stuti:

Chandra mitai dinakar mitai, mitai trigun vistar,
Dridh vrat Shriharivansh ka, mitai na nitya vihaar.
Jori Jugalkishore ki, aur rachi vidhy vadi,
Dridh vrat Shriharivansh ka, nivahyo aadi jugadi.
Nigm-brahm parsat nahi, jo ras sabten doori,
Kiya pragat Harivanshju, rasikani jeevani moori.
Roop-beli pyaari bani, su preetam prem-tamaal,
Doau man mili ekai bhaye, Shriradhavallabhalal.
Nikasi kunj thadhe bhaye, bhuj paraspra ansh,
Shriradhavallabh-mukh-kamal, nirakhi nayan Harivansh.
Re man! Shriharivansh bhaji, jo chahate vishraam,
Jihin ras-bass Braj Brajsundarinu, chhadi diye sukh dhaam.
Nigm neer mili ik bhaye, bhajan dugdh sam shwet,
Shriharivansh-hans nyaro kiyo, pragat jagat ke het.
Shriradhavallabh laadilee, ati udaar sukumaari,
Dhruv tau bhulyo or ten, tum jin dehu bisari.
Tum jin dehu bisari, thaur mokau kahu nahi,
Priya rang bhari kataksh, naank chitvahu mo maahi.
Badhye preeti ki reeti, beech kachu hoy na baadha,
Tum ho param praveen, pranvallabh Shriradha.
Bisriho na bisariho, yehi daan mohi dehu,
Shriharivansh ke laadeele, mohi apni kari lehu.
Kaisehu paapi kyon na hoi, Shriharivansh naam jo lei,
Alak ladaiti reejhikein, mahal khwaasi dei.
Mahima teri kaha kahoon, Shriharivansh dayal,
Tere dware banta hain, sahaj laadilee-laal.
Sab adhmanikau bhoop hon, naahin kachu samujhant,
Adham-udhaaran Vyas-sut, yah sunkin harshant.
Bandau Shriharivansh ke, charan-kamal sukh-dhaam,
Jinkau bandat nitya hii, chaail chabeelao shyaam.
Shriharivansh swaroop kaun, man-vach karoun pranam,
Sada-sada tan paaiye, Shreevrindavan dhaam.
Jori Shriharivansh ki, Shriharivansh swaroop,
Sevakvaani-kunj mein, biharat param anoop.
Karuna-nidhi ar kripa-nidhi, Shriharivansh udar,
Vrindavan ras kahani kaun, pragat dharyo avatar.
Hit ki yah upasana, hit ke hain ham daas,
Hit vishesh raakhte rahun, chit nit hit ki aas.
Harivanshi hari-adhar chadh, gunjat sada amand,
Drig-chakor pyaase sada, pyaay sudha makrand.
Jai jai Shriharivanshi gaay man, bhaave jas Harivansh,
Harivansh bina na nikaseehon, pad nivaas Harivansh.
Deejau Shreevrindavan vaas, nirakhu Shriradhavallabhalal kaun,
Ladai-ti-laal kaun.
Yeh jori mere jeevan-pran, nirakhun Shriradhavallabhalal kaun.
Ladaiti-laal kaun.
Mor mukut peetambar, eji peetambar, ur baijanti maal.
Haanji sohai gal phoolani ki maal.
Nirakhun… Ladaiti…
Jamuna pulin Vanshiwat, eji Vanshiwat, Sevakunj nij dhaam.
Haanji Mandal seva sukh dhaam, haanji Mansarovar Baadgram.
Nirakhun… Ladaiti…
Vanshi bajavai pyaaro Mohana, bajavai pyaaro Mohana,
Lai-lai Radha-Radha naam, haanji lai-lai Shyama-Shyama naam,
Haanji lai-lai pyaari-pyaari naam.
Nirakhun… Ladaiti…
Dekho ya Braj ki rachna, Shreevrindavan ki rachna,
Naache Jugalkishore, haanji naache Nawal Kishore.
Nirakhun… Ladaiti…
Chandrasakhi ko pyaaro, Shriradhaju ko pyaaro,
Sakhiyan ko pyaaro, Biraj rakhwaro, Shriharivansh dulaaro.
Darshan deejo Deenanaath, haanji darshan deejo hit laal.
Nirakhun… Ladaiti…
Yeh jori mere jeevan-pran, deejau Shreevrindavan vaas,
Nirakhun Shriradhavallabhalal kaun.
Ladai-ti-laal kaun.

Let’s navigate to the next page for Evening Raas.

Related Posts

error: Copyrighted Content, Do Not Copy !!